Ae dil zara itna bata , akhir tu chahta hai kya ,
SINE wave ki tarah multi-valued , continuous hai ,
par uski periodicity ki guun tujhmein kahan hai ,
kabhi kabhi active region mein bhi badi muskil se jata hai....
gaya bhi toh jald hi saturate kar jata hai.
tere minority charge ka hai itna problem...
ki sochta hoon SCHOTTKY diode ka hi kar loon use !!!
isse atleast tu saturation tak toh nahi jayega...
aur tera reverse state bhi aasani se aayega.
Bahut dhoonde ki kahan hai aisa SCHOTTKY...
tab mind mein achanak aaya ek khatki....
dil bola abe saa** sanki ,
tu jo bhi bol raha hai woh sahi hai ,
main aisa hoon, mujh mein nahin koi kami hai ,
tere boring life mein ek zinda saans hoon ,
tere jivan ke humrahion mein , atleast ek daringbaaz hoon...
mere diversity mein unity hai , saare mein tera hi sanity hai .
muul bhi tu , tu hi byaaj...
hai apne dil ka tu sartaj...
main chounka , socha yeh kya kiya...
kuch se kuch sochkar , yeh kya likh diya...
tabhi nazar aayi iski pehli line...
turant mann bola...for the time being....
yahi main chahta tha...fine !!!
No comments:
Post a Comment